
Faiz Ahmed Faiz. The best Urdu poet of this era. A tribute account from @Sifrings
Joined November 2011
- Tweets412
- Following12
- Followers42.2K
- Likes1
bas naam rahega allah ka
jo ghaaeb bhi hai haazir bhi
jo manzar bhi hai naazir* bhi
utthega anal-haq* ka naara
jo main bhi hoon aur tum bhi ho
aur raaj karegi khalq-e-khuda*
jo main bhi hoon aur tum bhi ho
* observer, witness
* I am Truth, I am God
* creation of God
jab bijlee kad-kad kadkegee
jab arz-e-khuda* ke kaabe se
sab buT uthvaae jaaenge
ham ahl-e-safaa* mardood-e-haram*
masnad* pe bithaae jaaenge
sab taaj uchhaale jaaenge
sab takht giraae jaaenge
* God's earth
* pure people
* rejected by the holy sanctuary
* seat of honour
hum dekhenge
laazim hai ki hum bhi dekhenge
vo din ki jis ka vaada hai
jo lauh-e-azal* mein likhkha hai
jab zulm-o-sitam ke koh-e-giraan*
ruuee ki tarah udh jaaenge
ham mahkoomon* ke paanv-tale
jab dharti dhad-dhad dhadkegi
*tablet of eternity
*mountains
*ruled upon
In 1985, General Zia-ul-Haq's decree prohibited women from wearing sarees. Pakistan’s world-renowned singer Iqbal Bano, clad in a black saree, protested singing this nazm "ham dekhenge " of Faiz in front of a crowd of 50,000 strong in a Lahore stadium.
gar aaj tujh se judaa hain toh kal bahum honge
yeh raat bhar ki judaa'ee toh koi baat nahin
gar aaj auj* pe hai taala-e-raqeeb* toh kya
yeh chaar din ki khudaa'ee to koi baat nahin
* highest point, summit, zenith
* fortune of rival
yoonhi humesha ulajhti rahi hai zulm se ḳhalq*
na un ki rasm na'ee hai na apni reet na'ee
yoonhi hamesha khilaaein hain hum ne aag mein phool
na un ki haar na'ee hai na apni jeet na'ee
isee sabab se falak ka gila nahin karte
teri firaq mein ham dil bura nahin karte
* world
dast-e-bahaana-joo: excuse to perpetuate
ahl-e-junoon: passionate people
naam-lewa: an heir, a descendent
ahl-e-havas: people of lusting for power
mudda'ee: appelant
munsif: judge, arbitrator,
munsifee: justice, decision
bahot hai zulm ke dast-e-bahaana-joo ke liye
jo chand ahl-e-junoon tere naam-lewa hain
bane hain ahl-e-havas mudda'ee bhi munsif bhi
kise vakeel karein kis se munsifee chaahein
magar guzaarne waalon ke din guzarte hain
teri firaq mein yoon subh-o-shaam karte hain
nisaar main teri galiyon ke aye watan ki jahaan
chali hai rasm ki koi na sar utha ke chale
jo koi chaahne waala tawaaf ko nikle
nazar chura ke chale jism o jaan bacha ke chale
najaat*-e-deedaa-o-dil ki ghadee nahi aa'ee
chale-chalo ke woh manzil abhi nahi aa'ee
[ * = relief, rescue ]
yeh daagh daagh ujaalaa yeh shab-gazeeda* sahar
woh intezaar tha jiska yeh woh sahar to nahi
[ * = night-bitten ]
By Faiz Ratlami not @FaizPoetry RT @ozairaslam: Wo aaj aaye haiN mehfil meiN chaandni lekar...k roshni maiN nahaane ki raat aayi hai ~#Faiz
nemat-e-zeest* ka yeh qarz chukegaa kaise
laakh ghabraa ke yeh kehte rahein mar jaaenge
[ *= gift of life ]
na deed hai na sukhan* hai na harf* hai na payaam
koi bhi hila-e-taskeen* nahi aur aas bahot hai
[*1=speech *2=words *3=excuse for comfort]